Tuje kya pata ae bande teri aukaad kya ha,
khane ko roti nahi, Insaan ka maas chahta ha,
Peene ko pani nahi, Insaan ka khoon pina chahta ha.
Apne ghar me kya ha, uska ghuman nahi ha tujko,
Dusro ke ghar me barkat se, tu kyon jal uthta ha.
Ha agar vishwas us khuda (god) par,
To kyon apni hathali padhta rehta ha.
Karta chal apna karm, kyon fikar kal ki kyon karta ha.
Yu to raho me milenge har kadam batkhane vale,
Tu sach me adig reh sakta ha.
Agar ho sake to jindagi me, dusro ka bura na karna,
Lekin upar vala sab dekhta ha.
Apni raah par chal mast hoke (honestly),
Chatukaro ka dekhega haal tu,
Moti kab tak chugange kauve (crow), hoja ab beparva tu.
Bookh (Lust) teri badti ha kyon, koi medicine leta rehta ha,
Dusro ka cheenkar, kyon apna apna kehta ha.
Le duaye (blessings) bujargo ki, kyo peth dikhata firta ha,
Kaam ayegi zingagi bhar, exams pe hi ho jhukta ha.
Kuch to nikal waqt us malik (god) ko yaad karne me,
Mushkil samah to aata jaata rehta ha.
Jeevan bhar ki karni tujko, ayegi yaad ant samah,
Us samah tu bhajna man ko Govinda ka priye raag.
Ant samah me karke yaad, pocho ge tum uske dvaar,
Kabhi fir vapas na aan pade, is ke le tu chintan shvaas.
Radheeee Radheeee Ekansh :)
ReplyDeleteRadhe Radhe Dhiraj
ReplyDelete:)